yaqin se phuTti hai ya guman se aati hai
yaqīñ se phūTtī hai yā gumāñ se aatī hai
ye dil meñ raushnī āḳhir kahāñ se aatī hai
makāñ jale haiñ makīnoñ ke qatl-e-ām ke baa'd
mahak lahū kī umañDte dhuāñ se aatī hai
payām laatī hai auj-e-firāq kā mujh tak
havā jo mil ke mire mehrbāñ se aatī hai
qarār detī hai vo aa.ine ko manzil-e-dīd
jo gard uḌ ke abhī kārvāñ se aatī hai
ziyā-e-roz-e-azal zulmat-e-shabān-e-girāñ
fazā hai jo bhī isī āsmāñ se aatī hai
hamīñ na jā sake sajde meñ vasl paane ko
sadā to ab bhī 'tarāz' āstāñ se aatī hai
yaqin se phuTti hai ya guman se aati hai
ye dil mein raushni aaKHir kahan se aati hai
makan jale hain makinon ke qatl-e-am ke ba'd
mahak lahu ki umanDte dhuan se aati hai
payam lati hai auj-e-firaq ka mujh tak
hawa jo mil ke mere mehrban se aati hai
qarar deti hai wo aaine ko manzil-e-did
jo gard uD ke abhi karwan se aati hai
ziya-e-roz-e-azal zulmat-e-shaban-e-giran
faza hai jo bhi isi aasman se aati hai
hamin na ja sake sajde mein wasl pane ko
sada to ab bhi 'taraaz' aastan se aati hai
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 163)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.