yaqin tak aaega ek din guman ghalat tha main
yaqīñ tak aa.egā ik din gumāñ ġhalat thā maiñ
mujhe lagā thā chhañTegā dhuāñ ġhalat thā maiñ
mirī taḌap pe bhī āñkhoñ meñ terī ashk na the
mujhe yaqīn huā tab ki haañ ġhalat thā maiñ
nazar meñ aks tirā dil meñ terā dard liye
maiñ kab se soch rahā huuñ kahāñ ġhalat thā maiñ
lagā thā ashkoñ se dhul jā.eñge malāl ke daaġh
magar haiñ dil pe abhī tak nishāñ ġhalat thā maiñ
mirā junūn thā qurbat ke rat-jage lekin
mirā nasīb hai tanhā.iyāñ ġhalat thā maiñ
yaqin tak aaega ek din guman ghalat tha main
mujhe laga tha chhanTega dhuan ghalat tha main
meri taDap pe bhi aankhon mein teri ashk na the
mujhe yaqin hua tab ki han ghalat tha main
nazar mein aks tera dil mein tera dard liye
main kab se soch raha hun kahan ghalat tha main
laga tha ashkon se dhul jaenge malal ke dagh
magar hain dil pe abhi tak nishan ghalat tha main
mera junun tha qurbat ke rat-jage lekin
mera nasib hai tanhaiyan ghalat tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.