yaqinan aapko dhoka hua hai
yaqīnan aap ko dhokā huā hai
vagarna kyā kabhī aisā huā hai
ye kis ke husn kā charchā huā hai
ki saarā shahr dīvāna huā hai
charāġh-e-dard raushan ho udhar bhī
idhar hī zaḳhm kyoñ taaza huā hai
hameñ bhī ḳhaak honā hai vahāñ tak
jahāñ tak āsmāñ phailā huā hai
maiñ jis se ḳhud kināra kar chukā thā
muqābil phir vahī dariyā huā hai
kajī hai ḳhud hamāre dekhne meñ
ki ruḳh us kā hī kuchh badlā huā hai
abhī kyā jaan kī baazī lagā.eñ
abhī nuqsān hī kitnā huā hai
yaqinan aap ko dhoka hua hai
wagarna kya kabhi aisa hua hai
ye kis ke husn ka charcha hua hai
ki sara shahr diwana hua hai
charagh-e-dard raushan ho udhar bhi
idhar hi zaKHm kyon taza hua hai
hamein bhi KHak hona hai wahan tak
jahan tak aasman phaila hua hai
main jis se KHud kinara kar chuka tha
muqabil phir wahi dariya hua hai
kaji hai KHud hamare dekhne mein
ki ruKH us ka hi kuchh badla hua hai
abhi kya jaan ki bazi lagaen
abhi nuqsan hi kitna hua hai
- Book : غبار حیرانی (Pg. 56)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.