yaqinan be-aman be-asra hone se Darta hai
yaqinan be-aman be-asra hone se Darta hai
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
yaqīnan be-amāñ be-āsrā hone se Dartā hai
ye shahr-e-zindagī phir karbalā hone se Dartā hai
tirī hī zaat meñ nūr-e-ḳhudāvandī hai jalva-gar
ta.ajjub hai ki tū ḳhud meñ fanā hone se Dartā hai
ye kaisā aa.ina hai jo haqīqat ko chhupātā hai
vo ā.īna hī kyā jo aa.ina hone se Dartā hai
ise tauhīn-e-bāl-o-par na kahiyegā to kyā kahiye
vo taa.ir jo giraftār-e-havā hone se Dartā hai
na jaane irtiqā kī kaun sī manzil meñ hai duniyā
ki beTā bhī ab apne baap kā hone se Dartā hai
ise ham intihā-e-ehtiyāt-e-ishq kahte haiñ
faqīr-e-ishq dar par bhī khaḌā hone se Dartā hai
yaqinan be-aman be-asra hone se Darta hai
ye shahr-e-zindagi phir karbala hone se Darta hai
teri hi zat mein nur-e-KHudawandi hai jalwa-gar
tajjub hai ki tu KHud mein fana hone se Darta hai
ye kaisa aaina hai jo haqiqat ko chhupata hai
wo aaina hi kya jo aaina hone se Darta hai
ise tauhin-e-baal-o-par na kahiyega to kya kahiye
wo tair jo giraftar-e-hawa hone se Darta hai
na jaane irtiqa ki kaun si manzil mein hai duniya
ki beTa bhi ab apne bap ka hone se Darta hai
ise hum intiha-e-ehtiyat-e-ishq kahte hain
faqir-e-ishq dar par bhi khaDa hone se Darta hai
- Book : سائبان غزل (Pg. 53)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.