yaqinan rasta haq par nahi hai
yaqīnan rāsta haq par nahī hai
koī patthar koī Thokar nahī hai
mohabbat kā safar behtar nahī hai
agar āshiq chalā din bhar nahī hai
ta'alluq TuuT jaane kā hai ḳhatra
magar dīvār meñ ik dar nahī hai
kise rūdād apnī ham sunā.eñ
kisī kā haal ab behtar nahī hai
mohabbat ne ise parvāz dī hai
hamārī shā.irī be-par nahī hai
kahāñ rakkhūñ shikasta dil ke TukḌe
bareilly meñ ajā.ib-ghar nahī hai
sabhī dushman bhale haiñ dostoñ se
kisī ke haath meñ nashtar nahī hai
saḌak par aa ga.e haiñ saare āshiq
nagar meñ bādshāh akbar nahī hai
yaqinan rasta haq par nahi hai
koi patthar koi Thokar nahi hai
mohabbat ka safar behtar nahi hai
agar aashiq chala din bhar nahi hai
ta'alluq TuT jaane ka hai KHatra
magar diwar mein ek dar nahi hai
kise rudad apni hum sunaen
kisi ka haal ab behtar nahi hai
mohabbat ne ise parwaz di hai
hamari shairi be-par nahi hai
kahan rakkhun shikasta dil ke TukDe
bareilly mein ajaib-ghar nahi hai
sabhi dushman bhale hain doston se
kisi ke hath mein nashtar nahi hai
saDak par aa gae hain sare aashiq
nagar mein baadshah akbar nahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.