yaqinan tujhse mil aate jo corona nahin aata
yaqīnan tujh se mil aate jo corona nahīñ aatā
tirī zulfoñ ko suljhāte jo corona nahīñ aatā
mahīnoñ ho ga.e dīdār terā kar nahīñ paa.e
na hargiz dil ko taḌpāte jo corona nahīñ aatā
ḳhushī har dil pe chhā jaatī udāsī duur ho jaatī
tirī mahfil ko garmāte jo corona nahīñ aatā
judā ik pal nahīñ hote tujhe Tuk dekhte rahte
mohabbat tujh pe barsāte jo corona nahīñ aatā
mire mahbūb chhat par chāñd ke saa.e meñ ham donoñ
dil-e-muztar ko bahlāte jo corona nahīñ aatā
kisī se hāl-e-dil kahte kisī kā hāl-e-dil sunte
na tanhā.ī meñ ghabrāte jo corona nahīñ aatā
yaqinan tujh se mil aate jo corona nahin aata
teri zulfon ko suljhate jo corona nahin aata
mahinon ho gae didar tera kar nahin pae
na hargiz dil ko taDpate jo corona nahin aata
KHushi har dil pe chha jati udasi dur ho jati
teri mahfil ko garmate jo corona nahin aata
juda ek pal nahin hote tujhe Tuk dekhte rahte
mohabbat tujh pe barsate jo corona nahin aata
mere mahbub chhat par chand ke sae mein hum donon
dil-e-muztar ko bahlate jo corona nahin aata
kisi se haal-e-dil kahte kisi ka haal-e-dil sunte
na tanhai mein ghabraate jo corona nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.