ye aagahi meri kuchh kaam aisa kar jae
ye āgahī mirī kuchh kaam aisā kar jaa.e
jidhar jidhar maiñ chalūñ saath rahguzar jaa.e
jo vaqt aa.egā sab kuchh tabāh kar degā
du'ā.eñ māñgo yahīñ vaqt ab Thahar jaa.e
maiñ thak chukā huuñ ye samjhā ke apne logoñ ko
udhar na jaao jidhar koī rāhbar jaa.e
Tikī huī hai nazar ab zavāl-e-manzar par
kabhī kabhī to ye bhaTke idhar udhar jaa.e
vo chāñd chhup gayā jo dād-e-husn chāhtā thā
to kis ke vāste ab baam par nazar jaa.e
badaltī rut kī adā dekh kar ḳhayāl aaya
havā ke saath kisī din na apnā sar jaa.e
'ibādatoñ meñ hoñ shāmil mohabbateñ bhī 'riyāz'
koī to rāsta aisā kisī nagar jaa.e
ye aagahi meri kuchh kaam aisa kar jae
jidhar jidhar main chalun sath rahguzar jae
jo waqt aaega sab kuchh tabah kar dega
du'aen mango yahin waqt ab Thahar jae
main thak chuka hun ye samjha ke apne logon ko
udhar na jao jidhar koi rahbar jae
Tiki hui hai nazar ab zawal-e-manzar par
kabhi kabhi to ye bhaTke idhar udhar jae
wo chand chhup gaya jo dad-e-husn chahta tha
to kis ke waste ab baam par nazar jae
badalti rut ki ada dekh kar KHayal aaya
hawa ke sath kisi din na apna sar jae
'ibaadaton mein hon shamil mohabbaten bhi 'riyaz'
koi to rasta aisa kisi nagar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.