ye aah-e-be-asar kya ho ye naKHl-e-be-samar kya ho
ye āh-e-be-asar kyā ho ye naḳhl-e-be-samar kyā ho
na ho jab dard hī yārab to dil kyā ho jigar kyā ho
baġhal-gīr aarzū se haiñ murādeñ aarzū mujh se
yahāñ is vaqt to ik iid hai tum jalva-gar kyā ho
muqaddar meñ ye likkhā hai kaTegī umr mar-mar kar
abhī se mar ga.e ham dekhiye ab umr bhar kyā ho
muravvat se ho begāna vafā se duur ho kosoñ
ye sach hai nāznīñ ho ḳhūb-sūrat ho magar kyā ho
lagā kar zaḳhm meñ Tāñke qazā terī na aa jaa.e
jo vo saffāk sun paa.e batā ai chāra-gar kyā ho
qayāmat ke bakheḌe paḌ ga.e aate hī duniyā meñ
ye maanā ham ne mar jaanā to mumkin hai magar kyā ho
kahā maiñ ne ki 'nazm'-e-mubtalā martā hai hasrat meñ
kahā us ne agar mar jaa.e to merā zarar kyā ho
ye aah-e-be-asar kya ho ye naKHl-e-be-samar kya ho
na ho jab dard hi yarab to dil kya ho jigar kya ho
baghal-gir aarzu se hain muraden aarzu mujh se
yahan is waqt to ek id hai tum jalwa-gar kya ho
muqaddar mein ye likkha hai kaTegi umr mar-mar kar
abhi se mar gae hum dekhiye ab umr bhar kya ho
murawwat se ho begana wafa se dur ho koson
ye sach hai naznin ho KHub-surat ho magar kya ho
laga kar zaKHm mein Tanke qaza teri na aa jae
jo wo saffak sun pae bata ai chaara-gar kya ho
qayamat ke bakheDe paD gae aate hi duniya mein
ye mana hum ne mar jaana to mumkin hai magar kya ho
kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat mein
kaha us ne agar mar jae to mera zarar kya ho
- Book : Noquush (Pg. B-301 E317)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.