ye aaina hai aaina tamasha ho nahin sakta
ye ā.īna hai ā.īna tamāsha ho nahīñ saktā
jise sach bolnā aatā ho rusvā ho nahīñ saktā
bahut mushkil se tahrīkeñ kabhī tārīḳh bantī haiñ
kisī patthar kā naqsh-o-nām katba ho nahīñ saktā
ḳhudā maujūd hai is meñ ye merī maañ kā āñchal hai
ye arsh-e-āfrīñ kuchh ho shikasta ho nahīñ saktā
mujhe majbūr mat karnā merī majbūriyāñ bhī haiñ
maiñ terā dost huuñ par tere jaisā ho nahīñ saktā
kisī saada varaq par bhī koī ḳhat khīñch letā hai
ye banda fitratan ai 'qaus' tanhā ho nahīñ saktā
ye aaina hai aaina tamasha ho nahin sakta
jise sach bolna aata ho ruswa ho nahin sakta
bahut mushkil se tahriken kabhi tariKH banti hain
kisi patthar ka naqsh-o-nam katba ho nahin sakta
KHuda maujud hai is mein ye meri man ka aanchal hai
ye arsh-e-afrin kuchh ho shikasta ho nahin sakta
mujhe majbur mat karna meri majburiyan bhi hain
main tera dost hun par tere jaisa ho nahin sakta
kisi sada waraq par bhi koi KHat khinch leta hai
ye banda fitratan ai 'qaus' tanha ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.