ye aalam ho to phir dil ko bhala kyunkar qarar aae
ye aalam ho to phir dil ko bhala kyunkar qarar aae
Farman Ziyai Sirojni
MORE BYFarman Ziyai Sirojni
ye aalam ho to phir dil ko bhalā kyūñkar qarār aa.e
kisī kī yaad jab rah rah ke dil meñ baar baar aa.e
ajab andāz se mastānā-vār un kā shabāb aaya
chhalaktā jaam le kar jaise koī bāda-ḳhvār aa.e
mohabbat donoñ jānib pairvī kartī rahe lekin
na un ko e.atibār aa.e na mujh ko e.atibār aa.e
qafas hī jab nasheman hai to ronā kyā bahāroñ kā
balā se ab gulistāñ meñ ḳhizāñ aa.e bahār aa.e
qarār-o-be-qarārī lāzim-o-malzūm haiñ donoñ
na 'farmān' is pe harf aa.e na us par koī baar aa.e
ye aalam ho to phir dil ko bhala kyunkar qarar aae
kisi ki yaad jab rah rah ke dil mein bar bar aae
ajab andaz se mastana-war un ka shabab aaya
chhalakta jam le kar jaise koi baada-KHwar aae
mohabbat donon jaanib pairwi karti rahe lekin
na un ko eatibar aae na mujh ko eatibar aae
qafas hi jab nasheman hai to rona kya bahaaron ka
bala se ab gulistan mein KHizan aae bahaar aae
qarar-o-be-qarari lazim-o-malzum hain donon
na 'farman' is pe harf aae na us par koi bar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.