ye aankh kaise bani hain patthar kise bataen kise sunaen
ye aañkh kaise banī haiñ patthar kise batā.eñ kise sunā.eñ
sitam jo Dhaa.e ga.e haiñ ham par kise batā.eñ kise sunā.eñ
Tapak rahā hai lahū musalsal badan ke andar ka.ī baras se
badan kā ye ḳhaufnāk manzar kise batā.eñ kise sunā.eñ
koī apāhij ghisaT ghisaT kar talāshtā hai ilaaj apnā
jo chal rahā hai hamāre andar kise batā.eñ kise sunā.eñ
badan ko kaise sazā milegī farār hai ruuh qatl kar ke
qafas bhī ab to nahīñ mayassar kise batā.eñ kise sunā.eñ
ḳhudāyā dastār do hameñ yā girā do ḳhanjar hamāre sar par
guzar rahī hai jo barhana sar kise batā.eñ kise sunā.eñ
tumhāre pahlū meñ jab se aakar raqīb baiThā usī samay se
hamārī rag meñ gaḌā hai nashtar kise batā.eñ kise sunā.eñ
nahīñ bachī ab koī tamanna vo sang-e-dil ġharq ho chukā hai
yahāñ pe barpā huā thā mahshar kise batā.eñ kise sunā.eñ
'safar' lagātār ek hī samt chal rahā hai ka.ī dinoñ se
bichhaḌ gayā hai hamārā rahbar kise batā.eñ kise sunā.eñ
ye aankh kaise bani hain patthar kise bataen kise sunaen
sitam jo Dhae gae hain hum par kise bataen kise sunaen
Tapak raha hai lahu musalsal badan ke andar kai baras se
badan ka ye KHaufnak manzar kise bataen kise sunaen
koi apahij ghisaT ghisaT kar talashta hai ilaj apna
jo chal raha hai hamare andar kise bataen kise sunaen
badan ko kaise saza milegi farar hai ruh qatl kar ke
qafas bhi ab to nahin mayassar kise bataen kise sunaen
KHudaya dastar do hamein ya gira do KHanjar hamare sar par
guzar rahi hai jo barhana sar kise bataen kise sunaen
tumhaare pahlu mein jab se aakar raqib baiTha usi samay se
hamari rag mein gaDa hai nashtar kise bataen kise sunaen
nahin bachi ab koi tamanna wo sang-e-dil gharq ho chuka hai
yahan pe barpa hua tha mahshar kise bataen kise sunaen
'safar' lagatar ek hi samt chal raha hai kai dinon se
bichhaD gaya hai hamara rahbar kise bataen kise sunaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.