ye aarzu agarche baid-az-qayas thi
ye aarzū agarche ba.īd-az-qayās thī
chhaTne lagī thī dhuup ki dhund ās-pās thī
phir yuuñ huā ke pī liyā ik bahr-e-be-karāñ
jaise hamāre hoñToñ pe barsoñ kī pyaas thī
khul na sakā kisī pe bhī ġham kā mo.āmla
par ik nigāh thī jo bahut ġham-shanās thī
ab ke mile to pher leñ nazreñ kuchh is tarah
bargashtagī kī donoñ diloñ meñ bhaḌās thī
ghar ke ujaaḌ sahn meñ vīrān the shajar
patte gire hue the kahīñ sūkhī ghaas thī
ḳhushiyoñ kī rahguzar ne na Tikne hameñ diyā
bas ġham kī raah thī jo sarāpā-sipās thī
ye aarzu agarche baid-az-qayas thi
chhaTne lagi thi dhup ki dhund aas-pas thi
phir yun hua ke pi liya ek bahr-e-be-karan
jaise hamare honTon pe barson ki pyas thi
khul na saka kisi pe bhi gham ka moamla
par ek nigah thi jo bahut gham-shanas thi
ab ke mile to pher len nazren kuchh is tarah
bargashtagi ki donon dilon mein bhaDas thi
ghar ke ujaD sahn mein viran the shajar
patte gire hue the kahin sukhi ghas thi
KHushiyon ki rahguzar ne na Tikne hamein diya
bas gham ki rah thi jo sarapa-sipas thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.