ye achchha hai ki ye achchha nahin hai
ye achchhā hai ki ye achchhā nahīñ hai
jo us se ab koī rishta nahīñ hai
vo hai vaisā kī ab vaisā nahīñ hai
use ik umr se dekhā nahīñ hai
rihā ho kar qafas se kyā karegā
parinde ne kabhī sochā nahīñ hai
na pūchho vaqt kī raftār ham se
guzartā hai magar dikhtā nahīñ hai
mujhe maqtal meñ rokā hai ye kah kar
tumheñ ab jaan kā ḳhatrā nahīñ hai
sabhī jannat meñ jaanā chāhte haiñ
ye dozaḳh ke liye achchhā nahīñ hai
ḳhushī kyuuñ phir rahī hai muñh phulā.e
mirā us se koī jhagḌā nahīñ hai
use patthar ke ho jaane kā Dar thā
palaT ke is liye dekhā nahīñ hai
ye kū-e-ishq hai is meñ se 'āsif'
nikalne kā koī rāstā nahīñ hai
ye achchha hai ki ye achchha nahin hai
jo us se ab koi rishta nahin hai
wo hai waisa ki ab waisa nahin hai
use ek umr se dekha nahin hai
riha ho kar qafas se kya karega
parinde ne kabhi socha nahin hai
na puchho waqt ki raftar hum se
guzarta hai magar dikhta nahin hai
mujhe maqtal mein roka hai ye kah kar
tumhein ab jaan ka KHatra nahin hai
sabhi jannat mein jaana chahte hain
ye dozaKH ke liye achchha nahin hai
KHushi kyun phir rahi hai munh phulae
mera us se koi jhagDa nahin hai
use patthar ke ho jaane ka Dar tha
palaT ke is liye dekha nahin hai
ye ku-e-ishq hai is mein se 'asif'
nikalne ka koi rasta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.