ye adab ka hai safar aur safar mein hun main
ye adab kā hai safar aur safar meñ huuñ maiñ
ban ke alfāz tirī rāhguzar meñ huuñ maiñ
maiñ huuñ vo ḳhaak duāoñ ne uḌāyā jis ko
ab vahāñ huuñ ki sitāroñ kī nazar meñ huuñ maiñ
maiñ jalī sham.a sī to shaam ne thāmā dāman
ab mirā koī nahīñ hai ki sahar meñ huuñ maiñ
maiñ vahī kashtī huuñ haañ haañ vahī bebas kashtī
kal thī tūfāñ meñ ghirī aaj bhañvar meñ huuñ maiñ
kaun sī shai mah-e-tābāñ kiye jaatī hai mujhe
raat itnā to batā kis ke asar meñ huuñ maiñ
merī qismat meñ ye gahrā.ī sadā thī 'resham'
haañ jigar meñ thī ki ab dard-e-jigar meñ huuñ maiñ
ye adab ka hai safar aur safar mein hun main
ban ke alfaz teri rahguzar mein hun main
main hun wo KHak duaon ne uDaya jis ko
ab wahan hun ki sitaron ki nazar mein hun main
main jali shama si to sham ne thama daman
ab mera koi nahin hai ki sahar mein hun main
main wahi kashti hun han han wahi bebas kashti
kal thi tufan mein ghiri aaj bhanwar mein hun main
kaun si shai mah-e-taban kiye jati hai mujhe
raat itna to bata kis ke asar mein hun main
meri qismat mein ye gahrai sada thi 'resham'
han jigar mein thi ki ab dard-e-jigar mein hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.