ye ahd-e-nau ho mubarak tujhe magar saqi
ye 'ahd-e-nau ho mubārak tujhe magar saaqī
nizām-e-maikada abtar hai ġhaur kar saaqī
uḌaan tez hai itnī ki tham ga.e manzar
rukā rukā sā hai lamhāt kā safar saaqī
fazā meñ tair rahe haiñ qazā ke jarsūme
base haiñ dasht meñ bārūd ke nagar saaqī
jhulas rahā hai ta'assub kī aag meñ gulshan
qayāmateñ haiñ qayāmat se peshtar saaqī
paḌe haiñ ḳhaak pe behosh ādmī-zāde
ḳhudā.ī karte haiñ mahloñ meñ jānvar saaqī
vo dekh jahal-o-zalālat kī masnad-ārā.ī
farāz-e-dār pe laTke haiñ dīda-var saaqī
kahāñ vo riñd vo paimāne aur vo sahbā
ga.e zamānoñ kī bāteñ na yaad kar saaqī
mujhe ḳhabar hai tire ḳhum meñ mai nahīñ baaqī
mire hī ḳhuun se ab merā jaam bhar saaqī
ye 'ahd-e-nau ho mubarak tujhe magar saqi
nizam-e-maikada abtar hai ghaur kar saqi
uDan tez hai itni ki tham gae manzar
ruka ruka sa hai lamhat ka safar saqi
faza mein tair rahe hain qaza ke jarsume
base hain dasht mein barud ke nagar saqi
jhulas raha hai ta'assub ki aag mein gulshan
qayamaten hain qayamat se peshtar saqi
paDe hain KHak pe behosh aadmi-zade
KHudai karte hain mahlon mein jaanwar saqi
wo dekh jahal-o-zalalat ki masnad-arai
faraaz-e-dar pe laTke hain dida-war saqi
kahan wo rind wo paimane aur wo sahba
gae zamanon ki baaten na yaad kar saqi
mujhe KHabar hai tere KHum mein mai nahin baqi
mere hi KHun se ab mera jam bhar saqi
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.