ye ahd kar ke nikalna bahut zaruri hai
ye ahd kar ke nikalnā bahut zarūrī hai
safar meñ samt badalnā bahut zarūrī hai
zamīñ kī kokh use bāñjh kar ga.ī varna
chaman kā phūlnā phalnā bahut zarūrī hai
faqīh-e-shahr ye zulmat pasañdiyāñ kab tak
mizāj-e-shahr badalnā bahut zarūrī hai
ajiib log haiñ ḳhud-kār dā.eroñ ke asiir
hadoñ se un kī nikalnā bahut zarūrī hai
shikasta azm kī dīvār Dhah na jaa.e kahīñ
qadam qadam pe sañbhalnā bahut zarūrī hai
tamām umr tajassus pe inkishāf huā
ḳhudā ke hukm pe chalnā bahut zarūrī hai
ye irtiqā.ī añdheroñ kā ahd hai 'nashtar'
charāġh-e-fikr kā jalnā bahut zarūrī hai
ye ahd kar ke nikalna bahut zaruri hai
safar mein samt badalna bahut zaruri hai
zamin ki kokh use banjh kar gai warna
chaman ka phulna phalna bahut zaruri hai
faqih-e-shahr ye zulmat pasandiyan kab tak
mizaj-e-shahr badalna bahut zaruri hai
ajib log hain KHud-kar daeron ke asir
hadon se un ki nikalna bahut zaruri hai
shikasta azm ki diwar Dhah na jae kahin
qadam qadam pe sanbhalna bahut zaruri hai
tamam umr tajassus pe inkishaf hua
KHuda ke hukm pe chalna bahut zaruri hai
ye irtiqai andheron ka ahd hai 'nashtar'
charagh-e-fikr ka jalna bahut zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.