ye ahd na-murad hai sune to kya
ye 'ahd nā-murād hai sune to kyā
lahū meñ jal-tarang baj uThe to kyā
murāja’at ke dar tamām band haiñ
vo shoḳh ab parat parat khule to kyā
koī to lūTtā hai ḳhvāb ke maze
hamārī aañkh meñ haiñ ratjage to kyā
mujhe suroñ meñ raat gungunā.egī
charāġh merī nai ke bujh ga.e to kyā
ḳhudā ġhanī hai aur be-niyāz hai
darāz haiñ du'ā ke silsile to kyā
ye 'ahd na-murad hai sune to kya
lahu mein jal-tarang baj uThe to kya
muraja’at ke dar tamam band hain
wo shoKH ab parat parat khule to kya
koi to luTta hai KHwab ke maze
hamari aankh mein hain ratjage to kya
mujhe suron mein raat gungunaegi
charagh meri nai ke bujh gae to kya
KHuda ghani hai aur be-niyaz hai
daraaz hain du'a ke silsile to kya
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 60)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.