ye ahl-e-KHirad dair-o-haram dekh rahe hain
ye ahl-e-ḳhirad dair-o-haram dekh rahe haiñ
jo sab ne na dekhā hai vo ham dekh rahe haiñ
ham gesū-e-hālāt meñ ḳham dekh rahe haiñ
taqdīr meñ jo kuchh hai raqam dekh rahe haiñ
ġham ye to nahīñ hai hameñ ġham ghere hue haiñ
ġham ye hai ki har aañkh ko nam dekh rahe haiñ
tārīk makānoñ ko ziyā ham se milī hai
ab tujh ko pareshāñ shab-e-ġham dekh rahe haiñ
hal to unheñ karne haiñ ye urdu ke masā.il
jumloñ meñ mire kitnā hai dam dekh rahe haiñ
jis haath ko likhne kā salīqa nahīñ aayā
us haath meñ sone kī qalam dekh rahe haiñ
hāsil hai hameñ 'mast' ye me'rāj-e-mohabbat
har vaqt tasavvur meñ haram dekh rahe haiñ
ye ahl-e-KHirad dair-o-haram dekh rahe hain
jo sab ne na dekha hai wo hum dekh rahe hain
hum gesu-e-haalat mein KHam dekh rahe hain
taqdir mein jo kuchh hai raqam dekh rahe hain
gham ye to nahin hai hamein gham ghere hue hain
gham ye hai ki har aankh ko nam dekh rahe hain
tarik makanon ko ziya hum se mili hai
ab tujh ko pareshan shab-e-gham dekh rahe hain
hal to unhen karne hain ye urdu ke masail
jumlon mein mere kitna hai dam dekh rahe hain
jis hath ko likhne ka saliqa nahin aaya
us hath mein sone ki qalam dekh rahe hain
hasil hai hamein 'mast' ye me'raj-e-mohabbat
har waqt tasawwur mein haram dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.