Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye aisa hota hai aatish-fishan se pahle

Javed Qaseem

ye aisa hota hai aatish-fishan se pahle

Javed Qaseem

MORE BYJaved Qaseem

    ye aisā hotā hai ātish-fishān se pahle

    darak rahī haiñ zamīneñ chaTān se pahle

    na.ī rutoñ se javāñ hausle ġhā.eb haiñ

    parinde Tuut rahe haiñ uḌaan se pahle

    phir is ke baa'd mire ġham ko niiñd aa.egī

    sitāre TūTeñge kuchh āsmān se pahle

    ye shīn-o-qāf to az-ḳhud Thiik ho jaa.eñ

    banāo rābta urdu zabān se pahle

    ye bachpanā bhī javānī bhī aur buḌhāpā bhī

    ka.ī paḌāv mileñge makān se pahle

    nishān-e-dil to hai betāb zaḳhm khāne ko

    nazar tiir to nikle kamān se pahle

    hameñ milā hai ye ajdād se virāsat meñ

    ham apnī aan bachāte haiñ jaan se pahle

    ye aisa hota hai aatish-fishan se pahle

    darak rahi hain zaminen chaTan se pahle

    nai ruton se jawan hausle hi ghaeb hain

    parinde Tut rahe hain uDan se pahle

    phir is ke ba'd mere gham ko nind aaegi

    sitare TuTenge kuchh aasman se pahle

    ye shin-o-qaf to az-KHud hi Thik ho jaen

    banao rabta urdu zaban se pahle

    ye bachpana bhi jawani bhi aur buDhapa bhi

    kai paDaw milenge makan se pahle

    nishan-e-dil to hai betab zaKHm khane ko

    nazar ka tir to nikle kaman se pahle

    hamein mila hai ye ajdad se wirasat mein

    hum apni aan bachate hain jaan se pahle

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now