Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye alag baat ki peshani pe bal aaega

Danish Asari

ye alag baat ki peshani pe bal aaega

Danish Asari

MORE BYDanish Asari

    ye alag baat ki peshānī pe bal aa.egā

    ġhaur karte raho kuchh hal bhī nikal aa.egā

    biij bhī Daal de ummīd-e-samar bhī taj de

    jab tirī nasl javāñ hogī to phal aa.egā

    maslahat oḌh ke chup-chāp tamāshā ban

    jo bhī aa.egā muḳhālif tire hal aa.egā

    ek qānūn-e-mukāfāt-e-amal hai zālim

    aaj jo kartā hai sāmne kal aa.egā

    umr guzrī hai kabhī diid lazzat mil jaa.e

    jaane kab merī nigāhoñ meñ vo pal aa.egā

    ‘dānishā’ bazm meñ un ġhazal jhuum ke paḌh

    un jānib se bhī kuchh radd-e-amal aa.egā

    ye alag baat ki peshani pe bal aaega

    ghaur karte raho kuchh hal bhi nikal aaega

    bij bhi Dal de ummid-e-samar bhi taj de

    jab teri nasl jawan hogi to phal aaega

    maslahat oDh ke chup-chap tamasha ban ja

    jo bhi aaega muKHalif tere hal aaega

    ek qanun-e-mukafat-e-amal hai zalim

    aaj jo karta hai tu samne kal aaega

    umr guzri hai kabhi did ki lazzat mil jae

    jaane kab meri nigahon mein wo pal aaega

    ‘danisha’ bazm mein un ki tu ghazal jhum ke paDh

    un ki jaanib se bhi kuchh radd-e-amal aaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now