ye alag baat ki ulfat ne diya kuchh bhi nahin
ye alag baat ki ulfat ne diya kuchh bhi nahin
Shams Ur Rahman Shams
MORE BYShams Ur Rahman Shams
ye alag baat ki ulfat ne diyā kuchh bhī nahīñ
ham haiñ barbād magar us kā gila kuchh bhī nahīñ
us ne chup rah ke savāloñ ke javābāt diye
aur maiñ ne bhī sar-e-bazm kahā kuchh bhī nahīñ
dekhiye kis meñ kamī hai ki uThā.e hue haath
umr bhar uTThe rahe aur milā kuchh bhī nahīñ
sirf tanhā.ī ye ashkoñ kī jhaḌī aur aaheñ
ye to phir jurm-e-mohabbat kī sazā kuchh bhī nahīñ
bech kar ḳhud ko jo paanā thā vo paayā sab kuchh
aur paayā to khulā is meñ mirā kuchh bhī nahīñ
paane aur khone kī ye kaun-sī manzil hai ki ab
haath uTThe haiñ magar dil meñ duā kuchh bhī nahīñ
ye alag baat ki ulfat ne diya kuchh bhi nahin
hum hain barbaad magar us ka gila kuchh bhi nahin
us ne chup rah ke sawalon ke jawabaat diye
aur main ne bhi sar-e-bazm kaha kuchh bhi nahin
dekhiye kis mein kami hai ki uThae hue hath
umr bhar uTThe rahe aur mila kuchh bhi nahin
sirf tanhai ye ashkon ki jhaDi aur aahen
ye to phir jurm-e-mohabbat ki saza kuchh bhi nahin
bech kar KHud ko jo pana tha wo paya sab kuchh
aur paya to khula is mein mera kuchh bhi nahin
pane aur khone ki ye kaun-si manzil hai ki ab
hath uTThe hain magar dil mein dua kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.