ye andhera jo ayan subh ki tanwir mein hai
ye añdherā jo ayaañ sub.h kī tanvīr meñ hai
kuchh kamī ḳhūn-e-jigar kī abhī tasvīr meñ hai
ahl-e-taqdīr ne sar rakh diyā jis ke aage
aaj vo uqda mire nāḳhun-e-tadbīr meñ hai
rañg-e-gul rañg-e-butāñ rañg-e-jabīn-e-mehnat
jo hasīñ rañg hai shāmil mirī tasvīr meñ hai
maiñ ne jis ḳhvāb ko āñkhoñ meñ basā rakkhā hai
tū bhī zālim mire us ḳhvāb kī ta.abīr meñ hai
le uḌī mauj-e-bahārāñ ye alag hai varna
aaj bhī paañv mirā ḳhāna-e-zanjīr meñ hai
vo mire pūchhne ko aa.e haiñ sach-much 'aḳhtar'
yā koī ḳhvāb-e-hasīñ manzil-e-ta.abīr meñ hai
ye andhera jo ayan subh ki tanwir mein hai
kuchh kami KHun-e-jigar ki abhi taswir mein hai
ahl-e-taqdir ne sar rakh diya jis ke aage
aaj wo uqda mere naKHun-e-tadbir mein hai
rang-e-gul rang-e-butan rang-e-jabin-e-mehnat
jo hasin rang hai shamil meri taswir mein hai
main ne jis KHwab ko aankhon mein basa rakkha hai
tu bhi zalim mere us KHwab ki tabir mein hai
le uDi mauj-e-bahaaran ye alag hai warna
aaj bhi panw mera KHana-e-zanjir mein hai
wo mere puchhne ko aae hain sach-much 'aKHtar'
ya koi KHwab-e-hasin manzil-e-tabir mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.