ye apna aap hai jo isko tu kiya jae
ye apnā aap hai jo is ko tū kiyā jaa.e
tamāsha hone kā phir kū-ba-kū kiyā jaa.e
kahāñ hai ḳhaak mayassar yahāñ tayammum ko
to kyoñ na ḳhuun se apne vuzū kiyā jaa.e
banā.eñ bistar-e-rāhat udāsī-e-shab ko
ġhamoñ ko chādar-e-lā-taqnatū kiyā jaa.e
jab us kā 'aks nahīñ ham to kyā zarūrī hai
ki jo bhī us ne kiyā hū-ba-hū kiyā jaa.e
ujaaḌ ujaaḌ hai bāġh-e-hikāyat-e-jānāñ
hinā kā zikr ba-rang-e-lahū kiyā jaa.e
ye surḳh-rūī to in’ām-e-‘ishq hai 'sāqib'
ye koī zaḳhm hai jis ko rafū kiyā jaa.e
ye apna aap hai jo is ko tu kiya jae
tamasha hone ka phir ku-ba-ku kiya jae
kahan hai KHak mayassar yahan tayammum ko
to kyon na KHun se apne wuzu kiya jae
banaen bistar-e-rahat udasi-e-shab ko
ghamon ko chadar-e-la-taqnatu kiya jae
jab us ka 'aks nahin hum to kya zaruri hai
ki jo bhi us ne kiya hu-ba-hu kiya jae
ujaD ujaD hai bagh-e-hikayat-e-jaanan
hina ka zikr ba-rang-e-lahu kiya jae
ye surKH-rui to in’am-e-‘ishq hai 'saqib'
ye koi zaKHm hai jis ko rafu kiya jae
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 51)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.