ye apna shahr jo hai dasht-e-be-aman hi to hai
ye apnā shahr jo hai dasht-e-be-amāñ hī to hai
is e'tibār se dil dard kā makāñ hī to hai
nahīñ hai pursish-e-ahvāl ke liye koī
bas ek majma.a-e-arvāh-e-raftagāñ hī to hai
ye dāstān-e-tamannā ajab sahī phir bhī
bhulā hī degā zamāna ki dāstāñ hī to hai
ye aur baat abhī inqalāb aa jaa.e
hayāt varna abhī tak vabāl-e-jāñ hī to hai
sukūñ kā ek bhī lamha ho kyuuñ muqaddar meñ
ye ahd-e-zīst bhī daur-e-sitam-garāñ hī to hai
rulā diyā hai ghaTā ke sulūk ne 'bedī'
magar ye tishna-labī ek imtihāñ hī to hai
ye apna shahr jo hai dasht-e-be-aman hi to hai
is e'tibar se dil dard ka makan hi to hai
nahin hai pursish-e-ahwal ke liye koi
bas ek majma-e-arwah-e-raftagan hi to hai
ye dastan-e-tamanna ajab sahi phir bhi
bhula hi dega zamana ki dastan hi to hai
ye aur baat abhi inqalab aa jae
hayat warna abhi tak wabaal-e-jaan hi to hai
sukun ka ek bhi lamha ho kyun muqaddar mein
ye ahd-e-zist bhi daur-e-sitam-garan hi to hai
rula diya hai ghaTa ke suluk ne 'bedi'
magar ye tishna-labi ek imtihan hi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.