ye apne aap pe tazir kar rahi hun main
ye apne aap pe tāzīr kar rahī huuñ maiñ
ki apnī soch ko zanjīr kar rahī huuñ maiñ
havāoñ se bhī nibhānī hai dostī mujh ko
diye kā lafz bhī tahrīr kar rahī huuñ maiñ
na jaane kab se badan the adhūre ḳhvāboñ ke
tumhārī aañkh meñ tābīr kar rahī huuñ maiñ
darīcha khole hue rañg aur ḳhushbū kā
suhānī-shām ko tasvīr kar rahī huuñ maiñ
duā.eñ maañg rahī huuñ havā rahe jāhil
gharonda ret pe tāmīr kar rahī huuñ maiñ
vo muntazir hai mirā kab se ḳhud pe raat oḌhe
'shabānā' sub.h sī tāḳhīr kar rahī huuñ maiñ
ye apne aap pe tazir kar rahi hun main
ki apni soch ko zanjir kar rahi hun main
hawaon se bhi nibhani hai dosti mujh ko
diye ka lafz bhi tahrir kar rahi hun main
na jaane kab se badan the adhure KHwabon ke
tumhaari aankh mein tabir kar rahi hun main
daricha khole hue rang aur KHushbu ka
suhani-sham ko taswir kar rahi hun main
duaen mang rahi hun hawa rahe jahil
gharonda ret pe tamir kar rahi hun main
wo muntazir hai mera kab se KHud pe raat oDhe
'shabana' subh si taKHir kar rahi hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.