ye aqida hai mera ghaib se saman hoga
ye aqīda hai mirā ġhaib se sāmāñ hogā
dard kī Thes lagī dard hī darmāñ hogā
āsmāñ badle zamīñ badle zamāna badle
ishq āsān na thā aur na āsāñ hogā
raushnī terī jhalaktī hī rahegī ai dost
kabhī āñkhoñ meñ kabhī dil meñ charāġhāñ hogā
dekh to luuñ maiñ tasavvur meñ tujhe bhī lekin
aur hairān ye ā.īna-e-hairāñ hogā
āñsuoñ se na sahī dil kī tajallī se sahī
terā jalva to bahar-taur numāyāñ hogā
ham se pūchho to batā.eñ ki haqīqat kyā hai
ḳhaak thā ḳhaak hai aur ḳhaak hī insāñ hogā
siikh lo zulf-e-pareshāñ kī pareshānī se
jo pareshān karegā vo pareshāñ hogā
baat dil meñ hī rahī dil kī na hone paa.ī
ham ne sochā thā ki har ghar meñ charāġhāñ hogā
dil meñ jo kuchh hai 'sadaf' Tapkegā aañsū ban kar
raaz kī baat na kar raaz numāyāñ hogā
ye aqida hai mera ghaib se saman hoga
dard ki Thes lagi dard hi darman hoga
aasman badle zamin badle zamana badle
ishq aasan na tha aur na aasan hoga
raushni teri jhalakti hi rahegi ai dost
kabhi aankhon mein kabhi dil mein charaghan hoga
dekh to lun main tasawwur mein tujhe bhi lekin
aur hairan ye aaina-e-hairan hoga
aansuon se na sahi dil ki tajalli se sahi
tera jalwa to bahar-taur numayan hoga
hum se puchho to bataen ki haqiqat kya hai
KHak tha KHak hai aur KHak hi insan hoga
sikh lo zulf-e-pareshan ki pareshani se
jo pareshan karega wo pareshan hoga
baat dil mein hi rahi dil ki na hone pai
hum ne socha tha ki har ghar mein charaghan hoga
dil mein jo kuchh hai 'sadaf' Tapkega aansu ban kar
raaz ki baat na kar raaz numayan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.