ye arman jab tak machalte rahenge
ye armān jab tak machalte raheñge
hazāroñ hī ġham dil meñ palte raheñge
sadā haath sachchā.ī kā ham ne thāmā
ḳhabar kyā thī baazū hī galte raheñge
salāmat raheñgī ye sāñseñ jahāñ tak
nigāhoñ meñ ham sab kī khalte raheñge
siyāsat kī baazī vatan noch legī
kafan uf shahīdoñ ke Dhalte raheñge
bahut talḳh lahja hai duniyā kā yaaro
kahāñ tak bhalā yuuñ hī jalte raheñge
nasīboñ se milte haiñ ġham ye samajh kar
faqat ḳhud ko ḳhud se hī chhalte raheñge
kabhī 'sārthī' tū qadam roknā mat
ye chhāle to yuuñ hī ubalte raheñge
ye arman jab tak machalte rahenge
hazaron hi gham dil mein palte rahenge
sada hath sachchai ka hum ne thama
KHabar kya thi bazu hi galte rahenge
salamat rahengi ye sansen jahan tak
nigahon mein hum sab ki khalte rahenge
siyasat ki bazi watan noch legi
kafan uf shahidon ke Dhalte rahenge
bahut talKH lahja hai duniya ka yaro
kahan tak bhala yun hi jalte rahenge
nasibon se milte hain gham ye samajh kar
faqat KHud ko KHud se hi chhalte rahenge
kabhi 'sarthi' tu qadam rokna mat
ye chhaale to yun hi ubalte rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.