ye arz kya hai KHala kya hai aur sama kya hai
ye arz kyā hai ḳhalā kyā hai aur samā kyā hai
tirī hī zaat hai har-sū tire sivā kyā hai
ye mashġhala hai tamāsha hai silsila kyā hai
banā banā ke miTātā hai mājrā kyā hai
jo soz-e-dil se mubarrā ho vo duā kyā hai
jo ruuh meñ na utar jaa.e vo sadā kyā hai
sañbhālā dar ko to dīvār gir paḌī logo
ye ittifāq agar hai to sāneha kyā hai
fanā ho jis kā muqaddar use shumār na kar
bas ek hī kā tasavvur hai dūsrā kyā hai
na jeb hai na garebāñ na ab gumān-e-hayāt
hamāre paas tirī yaad ke sivā kyā hai
hisār-e-zāt se apnī agar nikal jaa.e
to phir na pūchh ki insāñ kā martaba kyā hai
ḳhalish bhī chāhiye rasm-o-rah-e-mohabbat meñ
mile na dard kī lazzat to phir vafā kyā hai
junūñ ke daur meñ ādāb-e-ishq kyā 'shāriq'
kise ḳhabar hai ravā kyā hai nāravā kyā hai
ye arz kya hai KHala kya hai aur sama kya hai
teri hi zat hai har-su tere siwa kya hai
ye mashghala hai tamasha hai silsila kya hai
bana bana ke miTata hai majra kya hai
jo soz-e-dil se mubarra ho wo dua kya hai
jo ruh mein na utar jae wo sada kya hai
sanbhaala dar ko to diwar gir paDi logo
ye ittifaq agar hai to saneha kya hai
fana ho jis ka muqaddar use shumar na kar
bas ek hi ka tasawwur hai dusra kya hai
na jeb hai na gareban na ab guman-e-hayat
hamare pas teri yaad ke siwa kya hai
hisar-e-zat se apni agar nikal jae
to phir na puchh ki insan ka martaba kya hai
KHalish bhi chahiye rasm-o-rah-e-mohabbat mein
mile na dard ki lazzat to phir wafa kya hai
junun ke daur mein aadab-e-ishq kya 'shaariq'
kise KHabar hai rawa kya hai narawa kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.