ye ashk-e-gham nahin izhaar-e-bekasi ke liye
ye ashk-e-ġham nahīñ iz.hār-e-bekasī ke liye
charāġh maiñ ne jalā.e the raushnī ke liye
tire shabāb kī ḳhushbū ho jin ke dāman meñ
kahāñ se lā.ūñ vo alfāz shā.erī ke liye
ḳhushī ke saath ġhamoñ kā bhī kuchh salīqa ho
shu.ūr-e-dard bhī lāzim hai aadmī ke liye
fareb-e-jubba-o-dastār de na yuuñ mujh ko
ḳhulūs shart hai ai dost bandagī ke liye
kisī ko aaj yahāñ āḳhirat kī fikr nahīñ
sab ehtimām hai do din kī zindagī ke liye
har ek saañs meñ kam ho rahī hai umr-e-ravāñ
ajal se haath milātā huuñ zindagī ke liye
ye aur baat na mauqa milā sunāne kā
ġhazal kahī thī ye 'rizvāñ' ne aap hī ke liye
ye ashk-e-gham nahin izhaar-e-bekasi ke liye
charagh main ne jalae the raushni ke liye
tere shabab ki KHushbu ho jin ke daman mein
kahan se laun wo alfaz shaeri ke liye
KHushi ke sath ghamon ka bhi kuchh saliqa ho
shuur-e-dard bhi lazim hai aadmi ke liye
fareb-e-jubba-o-dastar de na yun mujh ko
KHulus shart hai ai dost bandagi ke liye
kisi ko aaj yahan aaKHirat ki fikr nahin
sab ehtimam hai do din ki zindagi ke liye
har ek sans mein kam ho rahi hai umr-e-rawan
ajal se hath milata hun zindagi ke liye
ye aur baat na mauqa mila sunane ka
ghazal kahi thi ye 'rizwan' ne aap hi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.