ye aur baat ki aankhen hamari nam bhi nahin
ye aur baat ki āñkheñ hamārī nam bhī nahīñ
magar malāl ziyāda nahīñ to kam bhī nahīñ
maiñ us maqām pe pahuñchā huuñ mar ke ham-safarāñ
kisī kā saath mayassar nahīñ to ġham bhī nahīñ
karam kī ḳhair tavaqqo' kisī se kyā karte
vo be-ruḳhī hai ki apnoñ ke ab sitam bhī nahīñ
kisī ko haal sunā.eñ to kyā sunā.eñ ham
tumheñ to yaar tamīz-e-‘atā-e-ġham bhī nahīñ
thakan kā shor machāte hue nahīñ thakte
vo jin kī raah meñ raḳhna to duur ḳham bhī nahīñ
nahīñ ki sirf nazāre hī maañd paḌne lage
'zahīr' aañkh kī hairat meñ ab vo dam bhī nahīñ
ye aur baat ki aankhen hamari nam bhi nahin
magar malal ziyaada nahin to kam bhi nahin
main us maqam pe pahuncha hun mar ke ham-safaran
kisi ka sath mayassar nahin to gham bhi nahin
karam ki KHair tawaqqo' kisi se kya karte
wo be-ruKHi hai ki apnon ke ab sitam bhi nahin
kisi ko haal sunaen to kya sunaen hum
tumhein to yar tamiz-e-‘ata-e-gham bhi nahin
thakan ka shor machate hue nahin thakte
wo jin ki rah mein raKHna to dur KHam bhi nahin
nahin ki sirf nazare hi mand paDne lage
'zahir' aankh ki hairat mein ab wo dam bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.