ye aur baat ki aansu baha nahin sakte
ye aur baat ki aañsū bahā nahīñ sakte
bichhaḌ ke tujh se magar muskurā nahīñ sakte
amiir baap ke beToñ ko sharm aatī hai
kisī kī raah kā patthar haTā nahīñ sakte
ham āftāb kī bastī ke rahne vaale haiñ
hameñ havāoñ ke jhoñke bujhā nahīñ sakte
yahī ilāqa to shahbāz kā ilāqa hai
yahāñ chhatoñ pe kabūtar uḌā nahīñ sakte
vo be-gunāhoñ kā qātil hai qatl hī hogā
farishte us kī hifāzat ko aa nahīñ sakte
mushāhidoñ kā asāsa agar salāmat hai
purāne log na.e zaḳhm khā nahīñ sakte
hameñ to is liye sahnā hai muflisī kā azaab
zamīr bech ke daulat kamā nahīñ sakte
hamārī raah meñ chaTTān ho ki dariyā ho
baḌhā diye haiñ qadam to haTā nahīñ sakte
hamāre saath duāoñ ke qāfile haiñ 'riyāz'
hamārī raah meñ tūfān aa nahīñ sakte
ye aur baat ki aansu baha nahin sakte
bichhaD ke tujh se magar muskura nahin sakte
amir bap ke beTon ko sharm aati hai
kisi ki rah ka patthar haTa nahin sakte
hum aaftab ki basti ke rahne wale hain
hamein hawaon ke jhonke bujha nahin sakte
yahi ilaqa to shahbaz ka ilaqa hai
yahan chhaton pe kabutar uDa nahin sakte
wo be-gunahon ka qatil hai qatl hi hoga
farishte us ki hifazat ko aa nahin sakte
mushahidon ka asasa agar salamat hai
purane log nae zaKHm kha nahin sakte
hamein to is liye sahna hai muflisi ka azab
zamir bech ke daulat kama nahin sakte
hamari rah mein chaTTan ho ki dariya ho
baDha diye hain qadam to haTa nahin sakte
hamare sath duaon ke qafile hain 'riyaz'
hamari rah mein tufan aa nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.