ye aur baat ki maujud apne ghar mein hun
ye aur baat ki maujūd apne ghar meñ huuñ
maiñ terī samt magar mustaqil safar meñ huuñ
na jaane aglī ghaḌī kyā se kyā meñ ban jā.ūñ
abhī to chaak pe huuñ dast-e-kūza-gar meñ huuñ
maiñ apnī fikr kī tajsīm kis tarah se karūñ
burīda-dast huuñ aur shahr-e-be-hunar meñ huuñ
na jaane kaun sā mausam mujhe harā kar de
numū ke vāste be-tāb huuñ shajar meñ huuñ
ye dostī bhī ajab chob-e-ḳhushk hai 'nāsir'
nibhā rahā huuñ magar TūTne ke Dar meñ huuñ
ye aur baat ki maujud apne ghar mein hun
main teri samt magar mustaqil safar mein hun
na jaane agli ghaDi kya se kya mein ban jaun
abhi to chaak pe hun dast-e-kuza-gar mein hun
main apni fikr ki tajsim kis tarah se karun
burida-dast hun aur shahr-e-be-hunar mein hun
na jaane kaun sa mausam mujhe hara kar de
numu ke waste be-tab hun shajar mein hun
ye dosti bhi ajab chob-e-KHushk hai 'nasir'
nibha raha hun magar TuTne ke Dar mein hun
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 06.12.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.