ye aur baat main gham se niDhaal bhi to nahin
ye aur baat main gham se niDhaal bhi to nahin
Maulwi Syed Mumtaz Ali
MORE BYMaulwi Syed Mumtaz Ali
ye aur baat maiñ ġham se niDhāl bhī to nahīñ
use gañvā ke tabī.at bahāl bhī to nahīñ
sulagtī sochtī ujḌī udaas āñkhoñ meñ
tumhāre qurb kī raushan misāl bhī to nahīñ
jab itne dil-zada Thahre to maan bhī jaao
ki us ke va.ada-e-fardā kā haal bhī to nahīñ
vo ġhair kī tarah miltā hai roz kyā kiije
firāq bhī to nahīñ hai visāl bhī to nahīñ
yahī hai ḳhū-e-taġhāful to umr bhar na milo
ye sirf merī anā kā savāl bhī to nahīñ
uThī ab āshiqī yā log ho ga.e patthar
tumhāre husn pe ab tak zavāl bhī to nahīñ
bujhe gharoñ kā dhuāñ sā hai shahr meñ 'sarmad'
ye aur kuchh hai sahar kā jamāl bhī to nahīñ
ye aur baat main gham se niDhaal bhi to nahin
use ganwa ke tabiat bahaal bhi to nahin
sulagti sochti ujDi udas aankhon mein
tumhaare qurb ki raushan misal bhi to nahin
jab itne dil-zada Thahre to man bhi jao
ki us ke wada-e-farda ka haal bhi to nahin
wo ghair ki tarah milta hai roz kya kije
firaq bhi to nahin hai visal bhi to nahin
yahi hai KHu-e-taghaful to umr bhar na milo
ye sirf meri ana ka sawal bhi to nahin
uThi ab aashiqi ya log ho gae patthar
tumhaare husn pe ab tak zawal bhi to nahin
bujhe gharon ka dhuan sa hai shahr mein 'sarmad'
ye aur kuchh hai sahar ka jamal bhi to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.