ye aur baat tere dil mein ghar nahin karunga
ye aur baat tire dil meñ ghar nahīñ karūñgā
par is maqām se aage safar nahīñ karūñgā
duā.eñ kyā duuñ use zindagī kī itnā hai
maiñ zahr huuñ magar us par asar nahīñ karūñgā
kisī se jhūTī mohabbat kisī se sachchā bair
maiñ kar to saktā huuñ ye sab magar nahīñ karūñgā
davām baḳhsh to saktā huuñ ḳhāmushī ko magar
ye kaam maiñ kisī āvāz par nahīñ karūñgā
kiyā jo vaqt par us kā ma.aal dekh chukā
koī bhī kaam maiñ ab vaqt par nahīñ karūñgā
guzār dūñgā maiñ apne firāq meñ ḳhud ko
ḳhud apne hone kī ḳhud ko ḳhabar nahīñ karūñgā
ye aur baat tere dil mein ghar nahin karunga
par is maqam se aage safar nahin karunga
duaen kya dun use zindagi ki itna hai
main zahr hun magar us par asar nahin karunga
kisi se jhuTi mohabbat kisi se sachcha bair
main kar to sakta hun ye sab magar nahin karunga
dawam baKHsh to sakta hun KHamushi ko magar
ye kaam main kisi aawaz par nahin karunga
kiya jo waqt par us ka maal dekh chuka
koi bhi kaam main ab waqt par nahin karunga
guzar dunga main apne firaq mein KHud ko
KHud apne hone ki KHud ko KHabar nahin karunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.