ye aur daur hai ab aur kuchh na farmae
ye aur daur hai ab aur kuchh na farmā.e
magar 'hafīz' ko ye baat kaun samjhā.e
vafā kā josh to kartā chalā gayā mad.hosh
qadam qadam pe mujhe dost hosh meñ laa.e
parī-ruḳhoñ kī zabāñ se kalām sun ke mirā
bahut se log mirī shakl dekhne aa.e
bahisht meñ bhī milā hai mujhe azāb-e-shadīd
yahāñ bhī maulvī-sāhab haiñ mere ham-sā.e
azāb-e-qabr se bad-tar sahī hayāt-e-'hafīz'
ye jabr hai to ba-juz-sabr kyā kiyā jaa.e
ye aur daur hai ab aur kuchh na farmae
magar 'hafiz' ko ye baat kaun samjhae
wafa ka josh to karta chala gaya madhosh
qadam qadam pe mujhe dost hosh mein lae
pari-ruKHon ki zaban se kalam sun ke mera
bahut se log meri shakl dekhne aae
bahisht mein bhi mila hai mujhe azab-e-shadid
yahan bhi maulwi-sahab hain mere ham-sae
azab-e-qabr se bad-tar sahi hayat-e-'hafiz'
ye jabr hai to ba-juz-sabr kya kiya jae
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 672)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.