ye baje ye gaje ye mele ye Thele
ye baaje ye gaaje ye mele ye Thele
ye sab jiite jī ke haiñ saare jhamele
zabāñ pe mirī qufl hī lag gayā jo
mile bhī kahīñ vo akele-dukele
yaqīnan vo insān bār-e-zamīñ hai
phalī phoḌ kar jo na de dukh na jhele
vo miskīn sūrat nazar bholī-bhālī
magar baat aisī ki bas chuTkī le le
vo but aaj be-tarh gum-sum banā hai
na kuchh muñh se bole na kuchh sar se khele
tumhārī mohabbat meñ ai jaan ham ne
sadā dukh hī jhele haiñ pāpaḌ hī bele
girah do girah kī lañgoTī meñ ham sab
rahe mast-o-be-ḳhud sadā phaag khele
nachāyā hai vo naach tignī kā tum ne
ki insān se ban ga.e ham bhuñDele
nahīñ shā'irī meñ huā koī ham-sar
na aire na ġhaire na Milton na Shelley
tumhārī talavvun-mizājī ke sadqe
gahe shahd ho gaah kaḌve karele
'zarīf' aap kā rang hai sab se chokhā
zarāfat meñ haiñ aap 'akbar' ke chele
ye baje ye gaje ye mele ye Thele
ye sab jite ji ke hain sare jhamele
zaban pe meri qufl hi lag gaya jo
mile bhi kahin wo akele-dukele
yaqinan wo insan bar-e-zamin hai
phali phoD kar jo na de dukh na jhele
wo miskin surat nazar bholi-bhaali
magar baat aisi ki bas chuTki le le
wo but aaj be-tarh gum-sum bana hai
na kuchh munh se bole na kuchh sar se khele
tumhaari mohabbat mein ai jaan hum ne
sada dukh hi jhele hain papaD hi bele
girah do girah ki langoTi mein hum sab
rahe mast-o-be-KHud sada phag khele
nachaya hai wo nach tigni ka tum ne
ki insan se ban gae hum bhunDele
nahin sha'iri mein hua koi ham-sar
na aire na ghaire na Milton na Shelley
tumhaari talawwun-mizaji ke sadqe
gahe shahd ho gah kaDwe karele
'zarif' aap ka rang hai sab se chokha
zarafat mein hain aap 'akbar' ke chele
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.