Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye bar bar ka bohtan hum pe jhuTa hai

Masood Ahmad

ye bar bar ka bohtan hum pe jhuTa hai

Masood Ahmad

MORE BYMasood Ahmad

    ye baar baar bohtān ham pe jhūTā hai

    hamārā dil to faqat ek baar TuuTā hai

    vo sanglāḳh chaTāneñ hamāre andar haiñ

    hamārī aañkh chashma vahīñ se phūTā hai

    ḳhushī ġhamī meñ barābar sharīk hote haiñ

    chaman ke haal se vāqif har ek buuTā hai

    gila-guzār huuñ maiñ dushmanoñ se is liye bhī

    mujhe hamesha mire dostoñ ne luuTā hai

    vo jaise machhlī nikaltī hai aa ke kāñTe se

    hamāre haath se dāman qazā chhūTā hai

    mile haiñ kitne qad kaaTh vaale logoñ se

    jise bhī dekhiye andar se vo zakūTā hai

    lagegī der tanāvar daraḳht banñe meñ

    abhī to hijr ye parvān chaḌhtā buuTā hai

    kahīñ darāḌ vo ġham pahāḌ TūTne

    zamīn TuuTī hai na āsmān TuuTā hai

    ye bar bar ka bohtan hum pe jhuTa hai

    hamara dil to faqat ek bar TuTa hai

    wo sanglaKH chaTanen hamare andar hain

    hamari aankh ka chashma wahin se phuTa hai

    KHushi ghami mein barabar sharik hote hain

    chaman ke haal se waqif har ek buTa hai

    gila-guzar hun main dushmanon se is liye bhi

    mujhe hamesha mere doston ne luTa hai

    wo jaise machhli nikalti hai aa ke kanTe se

    hamare hath se daman qaza ka chhuTa hai

    mile hain kitne hi qad kaTh wale logon se

    jise bhi dekhiye andar se wo zakuTa hai

    lagegi der tanawar daraKHt banne mein

    abhi to hijr ye parwan chaDhta buTa hai

    kahin daraD wo gham ka pahaD TuTne ki

    zamin TuTi hai na aasman TuTa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now