ye baat alag dil ko teri yaad ne bandha
ye baat alag dil ko tirī yaad ne bāñdhā
is said ko varna kahāñ sayyād ne bāñdhā
kūcha ye koī aur hī ābād karegā
sāmān jo ab ke dil-e-barbād ne bāñdhā
is shahr ko ab chhoḌ ke kyā jā.ūñ ki mujh ko
rokā hai kisī aah ne fariyād ne bāñdhā
jo us kī talab hai vahī ab merī talab hai
kis sehr se mujh ko mire ham-zād ne bāñdhā
hamvār huī raah na rasta hī khulā hai
baazū se to ta.avīz bhī afrād ne bāñdhā
ik koh-e-girāñ toḌ diyā par nahīñ toḌā
paimān-e-vafā jab kisī farhād ne bāñdhā
shāgird ke ab sher se hotā hai barāmad
mazmūn bahut pahle jo ustād ne bāñdhā
'fārūq' nazar ho ga.ī markūz usī par
kyā ḳhuub adāoñ se parī-zād ne bāñdhā
ye baat alag dil ko teri yaad ne bandha
is said ko warna kahan sayyaad ne bandha
kucha ye koi aur hi aabaad karega
saman jo ab ke dil-e-barbaad ne bandha
is shahr ko ab chhoD ke kya jaun ki mujh ko
roka hai kisi aah ne fariyaad ne bandha
jo us ki talab hai wahi ab meri talab hai
kis sehr se mujh ko mere ham-zad ne bandha
hamwar hui rah na rasta hi khula hai
bazu se to tawiz bhi afrad ne bandha
ek koh-e-giran toD diya par nahin toDa
paiman-e-wafa jab kisi farhad ne bandha
shagird ke ab sher se hota hai baramad
mazmun bahut pahle jo ustad ne bandha
'faruq' nazar ho gai markuz usi par
kya KHub adaon se pari-zad ne bandha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.