ye baat alag hai na ho izhaar-e-tamanna
ye baat alag hai na ho iz.hār-e-tamannā
insāñ hai bahar-hāl giraftār-e-tamanna
har chiiz yahāñ biktī hai jo chāho ḳharīdo
vallāh bahut ḳhuub hai bāzār-e-tamannā
maTkā hai udhar mai kā nashe kā hai tasallut
laTkā hai idhar koī sar-e-dār-e-tamanna
mahrūmī-e-qismat kī sazā kaaT rahā huuñ
iqrār hai mujh ko huuñ gunahgār-e-tamannā
maġhrūr hasīna sī haiñ takmīl kī rāheñ
lāzim hai bahut ūñchā ho me’ār-e-tamannā
hushiyār zarā aage havas kā hai 'ilāqa
behtar hai yahīñ rok lo raftār-e-tamanna
ye baat alag hai na ho izhaar-e-tamanna
insan hai bahar-haal giraftar-e-tamanna
har chiz yahan bikti hai jo chaho KHarido
wallah bahut KHub hai bazar-e-tamanna
maTka hai udhar mai ka nashe ka hai tasallut
laTka hai idhar koi sar-e-dar-e-tamanna
mahrumi-e-qismat ki saza kaT raha hun
iqrar hai mujh ko hun gunahgar-e-tamanna
maghrur hasina si hain takmil ki rahen
lazim hai bahut uncha ho me’ar-e-tamanna
hushiyar zara aage hawas ka hai 'ilaqa
behtar hai yahin rok lo raftar-e-tamanna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.