Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye baat aql se bahar hai kya kiya jae

Abdus Sami Siddiqui Naeem

ye baat aql se bahar hai kya kiya jae

Abdus Sami Siddiqui Naeem

MORE BYAbdus Sami Siddiqui Naeem

    ye baat 'aql se bāhar hai kyā kiyā jaa.e

    har ek qatra samandar hai kyā kiyā jaa.e

    agar ho vāqif-e-tā.ef to pūchhte kyoñ ho

    har ek haath meñ patthar hai kyā kiyā jaa.e

    karīh shakl jise kah rahā hai nādāñ

    hamāre sar pe vo chhappar hai kyā kiyā jaa.e

    badalte vaqt ne sab khel haiñ badal Daale

    vazīr ab yahāñ joker hai kyā kiyā jaa.e

    tumhāre paas qavāfī ḳhayāl laate haiñ

    merā ḳhayāl rahbar hai kyā kiyā jaa.e

    ġhazal vo aaj bhī roman meñ likh ke laayā hai

    hujūm us pe nichhāvar hai kyā kiyā jaa.e

    'na'īm' jaa.eñ kahāñ kāsa-e-hunar le kar

    tamām shahr suḳhanvar hai kyā kiyā jaa.e

    ye baat 'aql se bahar hai kya kiya jae

    har ek qatra samandar hai kya kiya jae

    agar ho waqif-e-taef to puchhte kyon ho

    har ek hath mein patthar hai kya kiya jae

    karih shakl jise kah raha hai tu nadan

    hamare sar pe wo chhappar hai kya kiya jae

    badalte waqt ne sab khel hain badal Dale

    wazir ab yahan joker hai kya kiya jae

    tumhaare pas qawafi KHayal late hain

    mera KHayal hi rahbar hai kya kiya jae

    ghazal wo aaj bhi roman mein likh ke laya hai

    hujum us pe nichhawar hai kya kiya jae

    'na'im' jaen kahan kasa-e-hunar le kar

    tamam shahr suKHanwar hai kya kiya jae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now