ye baat bhi na jaante anjaan hain sabhi
ye baat bhī na jānte anjān haiñ sabhī
duniyā meñ chand roz ke mehmān haiñ sabhī
maujūd ghar meñ sukh ke yuuñ sāmān haiñ sabhī
phir bhī yahāñ pe log pareshān haiñ sabhī
insāniyat se baḌh ke na maz.hab koī bhī hai
ye baat jo na jānte nādān haiñ sabhī
duniyā meñ un ko rutba ziyāda na mil sakā
itnī sī baat hī se pashemān haiñ sabhī
vīrāniyoñ meñ chīḳhne vaalā ye kaun hai
ye baat soch soch ke hairān haiñ sabhī
be-bāt kā hī ḳhauf thā is imtihān kā
'agyāt' ye savāl to āsān haiñ sabhī
ye baat bhi na jaante anjaan hain sabhi
duniya mein chand roz ke mehman hain sabhi
maujud ghar mein sukh ke yun saman hain sabhi
phir bhi yahan pe log pareshan hain sabhi
insaniyat se baDh ke na mazhab koi bhi hai
ye baat jo na jaante nadan hain sabhi
duniya mein un ko rutba ziyaada na mil saka
itni si baat hi se pasheman hain sabhi
viraniyon mein chiKHne wala ye kaun hai
ye baat soch soch ke hairan hain sabhi
be-baat ka hi KHauf tha is imtihan ka
'agyat' ye sawal to aasan hain sabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.