ye baat jaan nahin paya aaina-gar kya
ye baat jaan nahīñ paayā ā.ina-gar kyā
na ho koī pas-e-manzar to phir hai manzar kyā
abhī talak mirī ḳhāna-ḳharābiyāñ na ga.iiñ
chhupā hai aaj bhī shaitān mere andar kyā
hai sab hamārī ‘aqīdat kī kār-farmā.ī
vagarna devtā hotā hai koī patthar kyā
kisī kī yaad meñ jiite haiñ aur marte haiñ
hai mashġhala koī duniyā meñ is se behtar kyā
hamārī pyaas to shabnam se bujh bhī saktī thī
hamāre vāste laa.e ho tum samandar kyā
chamak uThe mirī palkoñ pe ashk ke jugnū
hue haiñ daaġh mire dil ke phir munavvar kyā
ye kyā huā hai ki be-rabt ho ga.e nuqte
badal gayā hai mire dā.ere kā mehvar kyā
chamaktī dhuup hai rasta hai yād-e-manzil hai
batāo mausam-e-dīvāngī meñ ab ghar kyā
'zakī' hamesha nuqūsh-e-ġhazal nikhārte ho
tumheñ haiñ is kī rivāyāt saarī azbar kyā
ye baat jaan nahin paya aaina-gar kya
na ho koi pas-e-manzar to phir hai manzar kya
abhi talak meri KHana-KHarabiyan na gain
chhupa hai aaj bhi shaitan mere andar kya
hai sab hamari ‘aqidat ki kar-farmai
wagarna dewta hota hai koi patthar kya
kisi ki yaad mein jite hain aur marte hain
hai mashghala koi duniya mein is se behtar kya
hamari pyas to shabnam se bujh bhi sakti thi
hamare waste lae ho tum samandar kya
chamak uThe meri palkon pe ashk ke jugnu
hue hain dagh mere dil ke phir munawwar kya
ye kya hua hai ki be-rabt ho gae nuqte
badal gaya hai mere daere ka mehwar kya
chamakti dhup hai rasta hai yaad-e-manzil hai
batao mausam-e-diwangi mein ab ghar kya
'zaki' hamesha nuqush-e-ghazal nikhaarte ho
tumhein hain is ki riwayat sari azbar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.