ye baat kyun nahin lagti bahut ajib tumhein
ye baat kyuuñ nahīñ lagtī bahut ajiib tumheñ
koī kisī ko pukāre javāb tak na mile
bas ik ḳhalish kā muqaddar sañvārne ke liye
savāl kyā kyā nikhāre javāb tak na mile
pas-e-navishta-e-taqdīr mājrā kyā thā
bujhā.e kis ne sitāre javāb tak na mile
agarche ham ne sadā.eñ ka.ī sunī thiiñ magar
pukārne pe hamāre javāb tak na mile
na ham the ġhār-nashīñ aur na tuur vaale the
kisī ko jab bhī pukāre javāb tak na mile
ye baat kyun nahin lagti bahut ajib tumhein
koi kisi ko pukare jawab tak na mile
bas ek KHalish ka muqaddar sanwarne ke liye
sawal kya kya nikhaare jawab tak na mile
pas-e-nawishta-e-taqdir majra kya tha
bujhae kis ne sitare jawab tak na mile
agarche hum ne sadaen kai suni thin magar
pukarne pe hamare jawab tak na mile
na hum the ghaar-nashin aur na tur wale the
kisi ko jab bhi pukare jawab tak na mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.