Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye baat muKHtalif hai ki pyari hai zindagi

Mohammad Yasir Mustafvi

ye baat muKHtalif hai ki pyari hai zindagi

Mohammad Yasir Mustafvi

MORE BYMohammad Yasir Mustafvi

    ye baat muḳhtalif hai ki pyārī hai zindagī

    dekho bahut udaas guzārī hai zindagī

    aur sāmne hai maut qafas ko liye hue

    uupar se ye ajab ki shikārī hai zindagī

    sab ko nachā rahī hai ishāre pe apne tab

    aa.ī hameñ samajh ki madārī hai zindagī

    dukh itne haiñ ki apnā galā ghoñT leñ abhī

    lekin kisī ke kahne pe jaarī hai zindagī

    kal tak to ḳhush-mizāj thā achchhā-bhalā bhī thā

    lekin ye kyā ki us ne bhī haarī hai zindagī

    'yāsir' tamām raat yahī sochtā thā maiñ

    ham jaise bekasoñ pe bhārī hai zindagī

    ye baat muKHtalif hai ki pyari hai zindagi

    dekho bahut udas guzari hai zindagi

    aur samne hai maut qafas ko liye hue

    upar se ye ajab ki shikari hai zindagi

    sab ko nacha rahi hai ishaare pe apne tab

    aai hamein samajh ki madari hai zindagi

    dukh itne hain ki apna gala ghonT len abhi

    lekin kisi ke kahne pe jari hai zindagi

    kal tak to KHush-mizaj tha achchha-bhala bhi tha

    lekin ye kya ki us ne bhi haari hai zindagi

    'yasir' tamam raat yahi sochta tha main

    hum jaise bekason pe hi bhaari hai zindagi

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now