ye baat sach hai abhi mukammal to ishq mera hua nahin hai
ye baat sach hai abhi mukammal to ishq mera hua nahin hai
Iliyas Chishti
MORE BYIliyas Chishti
ye baat sach hai abhī mukammal to 'ishq merā huā nahīñ hai
abhī to dāman phaTā nahīñ hai lahū nazar se bahā nahīñ hai
bahut purānī kitāb se jo gulāb niklā to aah niklī
is aah se ye 'ayāñ huā hai ki zaḳhm dil kā bharā nahīñ hai
‘ibādatoñ kī tarah mohabbat kā vird kartā huuñ aur karūñgā
tirī nazar meñ ḳhatā hai lekin mirī nazar meñ ḳhatā nahīñ hai
tumhārā thā maiñ tumhārā huuñ aur sadā rahūñgā tumhārā ban kar
yaqīn jaano bichhaḌ ke tum se ye dil kisī ko diyā nahīñ hai
milan hai pahlā ḳhayāl rakhnā tavīl is se na baat karnā
namāz-e-maġhrib ise samajhnā ki ye namāz-e-‘ishā nahīñ hai
ye baat sach hai abhi mukammal to 'ishq mera hua nahin hai
abhi to daman phaTa nahin hai lahu nazar se baha nahin hai
bahut purani kitab se jo gulab nikla to aah nikli
is aah se ye 'ayan hua hai ki zaKHm dil ka bhara nahin hai
‘ibaadaton ki tarah mohabbat ka wird karta hun aur karunga
teri nazar mein KHata hai lekin meri nazar mein KHata nahin hai
tumhaara tha main tumhaara hun aur sada rahunga tumhaara ban kar
yaqin jaano bichhaD ke tum se ye dil kisi ko diya nahin hai
milan hai pahla KHayal rakhna tawil is se na baat karna
namaz-e-maghrib ise samajhna ki ye namaz-e-‘isha nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.