ye baat sach hai mujhe ishq par ghurur nahin
ye baat sach hai mujhe 'ishq par ġhurūr nahīñ
ye terā husn mirī dastaras se duur nahīñ
har ek shaḳhs hai apnī anā ke nashshe meñ
hai kaun aisā jo apnī ḳhudī meñ chuur nahīñ
dil-o-nigāh kī gahrā.ī nāpne vaalo
kalīm tum bhī nahīñ aur ham bhī tuur nahīñ
ye ḳhush-bayānī ye tarz-e-suḳhan ye husn-e-ḳhayāl
ḳhudā kī den pe mujh ko koī ġhurūr nahīñ
'ḳhatīb' tum ko milegī kuchh aur rusvā.ī
agar kahoge ki merā koī qusūr nahīñ
ye baat sach hai mujhe 'ishq par ghurur nahin
ye tera husn meri dastaras se dur nahin
har ek shaKHs hai apni ana ke nashshe mein
hai kaun aisa jo apni KHudi mein chur nahin
dil-o-nigah ki gahrai napne walo
kalim tum bhi nahin aur hum bhi tur nahin
ye KHush-bayani ye tarz-e-suKHan ye husn-e-KHayal
KHuda ki den pe mujh ko koi ghurur nahin
'KHatib' tum ko milegi kuchh aur ruswai
agar kahoge ki mera koi qusur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.