ye bazi KHud hai haari dekhne ko
ye baazī ḳhud hai haarī dekhne ko
tumhārī hoshiyārī dekhne ko
dhanak paañv paTakne lag ga.ī hai
tirī naqsh-o-nigārī dekhne ko
hamārī aañkh ab pathrā chukī haiñ
jahāñ meñ inkisārī dekhne ko
sunā hai 'ishq vaale aa rahe haiñ
faqat joḌī hamārī dekhne ko
tumheñ is daur kā hākim banāyā
yahī be-rozgārī dekhne ko
lakaḌ-hāroñ kā lashkar chal paḌā hai
shajar kī āh-o-zārī dekhne ko
ta'alluq ke gale meñ Daal rassī
hamārī be-qarārī dekhne ko
jo baisākhī ke kāñdhe par khaḌe haiñ
taraste haiñ savārī dekhne ko
ye kaisā khel khelā dil se tū ne
chale aa.eñ madārī dekhne ko
ye bazi KHud hai haari dekhne ko
tumhaari hoshiyari dekhne ko
dhanak panw paTakne lag gai hai
teri naqsh-o-nigari dekhne ko
hamari aankh ab pathra chuki hain
jahan mein inkisari dekhne ko
suna hai 'ishq wale aa rahe hain
faqat joDi hamari dekhne ko
tumhein is daur ka hakim banaya
yahi be-rozgari dekhne ko
lakaD-haaron ka lashkar chal paDa hai
shajar ki aah-o-zari dekhne ko
ta'alluq ke gale mein Dal rassi
hamari be-qarari dekhne ko
jo baisakhi ke kandhe par khaDe hain
taraste hain sawari dekhne ko
ye kaisa khel khela dil se tu ne
chale aaen madari dekhne ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.