ye bachche bhi ab haq jatane lage hain
ye bachche bhī ab haq jatāne lage haiñ
vo āñkhoñ se āñkheñ milāne lage haiñ
jo tutlāte phirte the kuchh roz pahle
baḌoñ se zabāñ ab laḌāne lage haiñ
unheñ chāhiye ek din meñ vo sab kuchh
jo paane meñ ham ko zamāne lage haiñ
abhī Thiik se par nahīñ nikle lekin
parinde uḌāneñ dikhāne lage haiñ
hue paidā jin ghoñsloñ meñ parinde
unhīñ ghoñsloñ se vo jaane lage haiñ
ye bachche bhi ab haq jatane lage hain
wo aankhon se aankhen milane lage hain
jo tutlate phirte the kuchh roz pahle
baDon se zaban ab laDane lage hain
unhen chahiye ek din mein wo sab kuchh
jo pane mein hum ko zamane lage hain
abhi Thik se par nahin nikle lekin
parinde uDanen dikhane lage hain
hue paida jin ghonslon mein parinde
unhin ghonslon se wo jaane lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.