ye be-hisi ki zara bhi wo pesh-o-pas mein na tha
ye be-hisī ki zarā bhī vo pesh-o-pas meñ na thā
asiir jaise nasheman meñ thā qafas meñ na thā
shikast-e-husn gavārā na thī mujhe varna
nahīñ ye baat ki vo merī dastaras meñ na thā
bharam vafā kā ḳhulūs-e-niyāz ne rakkhā
vagarna farq koī ishq aur havas meñ na thā
na adl kā thā taqāzā na zulm kā ehsās
jo dād-ḳhvāh meñ jazba thā dādras meñ na thā
gul-o-saman ke sahāre ḳhizāñ dar aa.ī thī
asar bahār-e-chaman kā to ḳhār-o-ḳhas meñ na thā
husūl-e-shauq meñ majbūr-e-kashmakash donoñ
asiir thā vo anā kā dil apne bas meñ na thā
kamī thī us meñ 'mubārak' na aur kuchh lekin
vo ik ḳhulūs thā jo mere ham-nafas meñ na thā
ye be-hisi ki zara bhi wo pesh-o-pas mein na tha
asir jaise nasheman mein tha qafas mein na tha
shikast-e-husn gawara na thi mujhe warna
nahin ye baat ki wo meri dastaras mein na tha
bharam wafa ka KHulus-e-niyaz ne rakkha
wagarna farq koi ishq aur hawas mein na tha
na adl ka tha taqaza na zulm ka ehsas
jo dad-KHwah mein jazba tha dadras mein na tha
gul-o-saman ke sahaare KHizan dar aai thi
asar bahaar-e-chaman ka to KHar-o-KHas mein na tha
husul-e-shauq mein majbur-e-kashmakash donon
asir tha wo ana ka dil apne bas mein na tha
kami thi us mein 'mubarak' na aur kuchh lekin
wo ek KHulus tha jo mere ham-nafas mein na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.