ye be-KHulus hai duniya na dar-ba-dar jao
ye be-ḳhulūs hai duniyā na dar-ba-dar jaao
ab apnā kāsa-e-dil le ke apne ghar jaao
chaḌhāv par hai ye dariyā abhī Thahar jaao
agar hai ḳhud pe bharosa to paar utar jaao
faqat mire hī lahū kī hai pyaas ḳhanjar ko
tum apnī rāhoñ pe be-ḳhauf-o-be-ḳhatar jaao
har ek chehre pe sūraj talāshne vaalo
kahīñ na din ke ujāle meñ hī bikhar jaao
tamām jism mujhe barf barf lagte haiñ
nazar kī dhuup sameTe hue guzar jaao
añdherī rātoñ kī palkeñ bahut ghanerī haiñ
hamārī āñkhoñ kī putlī meñ hī Thahar jaao
maiñ kaaT lūñgā kisī tarah apnī tīra-shabī
tum apne vāste le kar mirī sahar jaao
ab is ke baa'd mujhe kūfiyoñ meñ ghirnā hai
yahīñ se lauT ke vāpas ai ham-safar jaao
ye be-saroñ kā nagar hai to ye karo 'anvar'
sar-e-ḳhudī ko tum apne sañbhāl kar jaao
ye be-KHulus hai duniya na dar-ba-dar jao
ab apna kasa-e-dil le ke apne ghar jao
chaDhaw par hai ye dariya abhi Thahar jao
agar hai KHud pe bharosa to par utar jao
faqat mere hi lahu ki hai pyas KHanjar ko
tum apni rahon pe be-KHauf-o-be-KHatar jao
har ek chehre pe suraj talashne walo
kahin na din ke ujale mein hi bikhar jao
tamam jism mujhe barf barf lagte hain
nazar ki dhup sameTe hue guzar jao
andheri raaton ki palken bahut ghaneri hain
hamari aankhon ki putli mein hi Thahar jao
main kaT lunga kisi tarah apni tira-shabi
tum apne waste le kar meri sahar jao
ab is ke ba'd mujhe kufiyon mein ghirna hai
yahin se lauT ke wapas ai ham-safar jao
ye be-saron ka nagar hai to ye karo 'anwar'
sar-e-KHudi ko tum apne sanbhaal kar jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.